Thursday, January 26, 2012

A Thought Provoking Quranic Verse


“And verily, We will make them taste of the near torment (i.e. the torment in the life of this world, i.e. disasters, calamities) prior to the supreme torment (in the Hereafter), in order that they may (repent and) return”. [Al-Sajdah 32:21]

Poetry

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Jo deen bari shaan se nikla tha watan se
Perdais main woh aaj ghareeb ul ghuraba he............

Wo deen, hui bazm e jahan jis se charaaghan
Ab us ki mjalis main na bati na diya he........................
Wo deen k tha shirk se aalam ka nighebaan
Ab us ka nighebaan he to Khuda he...........................
Feryaad he, aey kashti e Ummat k nighebaan
Bairaa yeh tbahi k qareeb aan laga he.........................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Hum naik hain ya bad hain, phir aakhir hain tumharay
Nisbat yeh bari achi he, ager haal bura he..................
Dolat he, na izzat, na fazeelat, na hunner he
Ek cheez he baqi to wo be barg nawa he...................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Chaai hui alaam pe, qiyamat ki ghata he
Badli hui duniya main zamanay ki hawa he................
Ghardish main muslmaan he, falaq kamp raha he
Ghairon se shikaayat nahi, apni hi khata he...............

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Islam pe teray, dushman e deen toot peray hain
Ghaarat ger e eeman tbaahi pe aray hain..................
Jhanday teray her simat Khudaai k garay hain
Jb chaha he kufaar ka rukh mor diya he....................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Woh teray muhajir, teray ansaar kahan hain...............
Jo badar o ohad main thay woh sardar kahan hain
Makkay main jo thay sath, woh do char (2-4) kahan hain
Kuch dair ko aaj waqat unhain maang raha he...............

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Kuffaar k narghay main he Islam ka aalam
Jo khaas ka aalam he wohi aam ka aalam................
Jo subah ka aalam he wohi shaam ka aalam
Her saahib e eeman k lab per yeh sada he..............

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Aghyaar ki hain Khaana e ka'ba pe nigahain
Masdood hui jaati hain eeman ki raahain...................
Islaam k seenay se nikalnay lagi aahain
Faaran ki choti pe bara shor macha he.......................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Aey khatam e rasul , fakhr e arab, shah e madina
Aey hami e qul, Rehmat e Haq, Jaan e madina..........
Qaaim he teray naam se aewaan e madina
Allah ki makhlooq main tu sb se bara he.....................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he......................

Aey Qibla e awal k nighebaan, meri sun le
Aey arsh ke ALLAH nighebaan, meri sun le ................
Aey qibla e deen, ka'ba e eeman, meri sun le
Jo teri raza he, wohi khadim ki raza he...........................

Aey Khasa e khasaan e rasul (SAW), waqt e dua he
Umaat pe teri aa k ajab waqat para he..........................

Jo deen bari shaan se nikla tha watan se
Perdais main woh aaj ghareeb ul ghuraba he...............

Ashira Mubashira

Ten of the companions have been promised Paradise during their lives. They are:

1)  Abu Bakr
2)  Omar
3) `Uthman
4)  Ali
5)  Talha
6)  Zubair
7)  Saad bin Abi Waqqass
8)  Saeed bin Zaid
9)  Abdulrahman bin `Awf and
10) Abu `Ubaida binal-Jarrah